gafldp's profile picture. bleh

dev

@gafldp

bleh

mera naseeb mujhse khafa hojata hai, apna jise bhi maano woh bewafa hojata hai, kyu na ho shikayat meri nazron ko raat se, khawab pura hota hai aur savera hojata hai


na ghamand mein rehta hoon, na ghuroor mein rehta hoon, bas jinse soch nhi milti, Unse boht door rehta hoon


Leh raha tha mohabbat ki chadar ishq ke bazar mein, Bheed se aawaz aayi, Kafan bhi saath lete jana, Aksar yaar bewafa hote hai


rooth jaye toh manane kon aaye, bichad jaye toh bulane kon aaye, agar mar jaye toh kabar par phool chadane kon aaye


Log mil jaate hai kahani bankar, Dil mein bas jaate hai nishaani bankar, Jinhe hum rakhna chahate hai apni asnkhon mein, Kyu nikal jaate hai woh paani bankar


zindagi ek raat hai, jisme na jaane kitne khawab hai, jo mil gaya woh apna hai, jo toot gaya woh sapna hai


Mohabbat hai isiliye dil darta hai tujhe khone se, Agar matlab hota toh kya farak padta tere hone na hone se


Kuch har gayi taqdeer, kuch tut gaye sapne, Kuch gairon ne kiya barbaad kuch bhul gaye apne


sabke liye sab karke bhi sabne thukra diya, Khudke liye kuch na karke bhi logo ne matlabi bata diya


Zinda hoon magar zindagi se durr hoon, Aaj kyu is qadar majboor hoon, Bina galti ki saza milti hai mujhe, Kisse kahu ki aakhir beqasoor hoon


Mohabbat toh dukh deti hai lekin kabhi socha hai Duniya kis kadar khaali ho jati hai jab sare dost bichhad jate hai


mat kar tamanna kisi ko pani ki, badi bedard nigahen hai zamani ki, tu khud ko banaa kabil is qadar, ki tamanna karen log tujhe paane ki


Apne khali pan ko bharna chor diya, Tanhai se bilkul darna chor diya, Ab toh mujhe mere haal mein jeene do, Ab toh maine tumpe marna chor diya


Main mere khawabon mein mar chuka hoon, Main mere ehsaason mein mar chuka hoon, Ab mujhe takleef hoti nahi Main mere jazbaaton mein mar chuka hoon


sookhe patton ki tarah bikhre hue teh, Kisi ne sameta bhi toh sirf jalaane ke liye


nobody cares about a man's mental health until it turns into anger then everyone sees him as a bad person


neend bhi kitni ajeeb cheez hai, aa jaye toh sab kuch bhula deti hai, na aaye toh sab kuch yaad dila deti hai


Chehre pe muskurahat, dil mein toofan tha, Jo keh na sake kisi se, woh ek armaan tha. Khamoshiyon mein chhupi thi ek duniya udaasi ki, Aur log samjhe ke hum kitne khushnaseeb hain


samajh nhi aaraha pehle kis cheez ka stress loon: • career ka, • patle hone ka, • bank balance ka ya, • baal jhadne ka


Khamosh waadiyaan bhi aaj ro padi, Jab baha lahu unka, jo the watan ke rakhwali. Pahalgam ki zameen gawaah bani, Kaise jaanbaazon ne di jaan, nibhayi apni zimmedaari. #Pahalgam


Loading...

Something went wrong.


Something went wrong.