#faraaz search results

No results for "#faraaz"

Shahr ka shahr hii naaseh ho to kyaa kijiyega, Varna ham rind to bhid jaate haiñ do-chaar ke saath ! Ahmad #Faraaz


Favourite hai sir 🌹 Raat kya soe ke baaqi umr ki neend ud gaii, Khvaab kya dekhaa ke dhadkaa lag gayaa taabiir kaa #Shair #Faraaz #neend


Hañsii-khushi se bichhad jaa agar bichhadnaa hai, Ye har maqaam pe kyaa sochtaa hai aakhir tuu ?! #Shair #Faraaz #maqaam


🔥 Zabt laazim hai magar dukh hai qayaamat ka "Faraaz", Zaalim ab ke bhi na roegaa to mar jaaega #Shair #Faraaz #qayaamat


Oye hoye Suna hai us ki siyah-chashmagi qayaamat hai, So us ko surma-farosh aah bhar ke dekhte haiñ #Shair #Faraaz #qayaamat


Ham apne dil se hii majbuur aur logo'ñ ko, Zaraa sii baat pe barpaa qayaamat'eñ karni :/ #Shair #Faraaz #qayaamat


इक ये भी तो अन्दाज़-ए-इलाज-ए-ग़म-ए-जाँ है ऐ चारागरो!दर्द बढ़ा क्यूँ नहीं देते मुंसिफ़ हो अगर तुम तो कब इन्साफ़ करोगे मुजरिम हैं अगर हम तो सज़ा क्यूँ नहीं देते रहज़न हो तो हाज़िर है मता-ए-दिल-ओ-जाँ भी रहबर हो तो मन्ज़िल का पता क्यूँ नहीं देते #Faraaz Good Morning Madhusudan 🌷

binakapur's tweet image. इक ये भी तो अन्दाज़-ए-इलाज-ए-ग़म-ए-जाँ है
ऐ चारागरो!दर्द बढ़ा क्यूँ नहीं देते

मुंसिफ़ हो अगर तुम तो कब इन्साफ़ करोगे
मुजरिम हैं अगर हम तो सज़ा क्यूँ नहीं देते

रहज़न हो तो हाज़िर है मता-ए-दिल-ओ-जाँ भी
रहबर हो तो मन्ज़िल का पता क्यूँ नहीं देते
#Faraaz
Good Morning Madhusudan 🌷

He impressed me as Faraaz Ayaaz Hossain in #Faraaz, shocked me in #Daldal, where he played a character battling drug addiction and now all eyes are on #AdityaRawal once more! He appears as the volatile and ruthless gangster Prince in #SureshTriveni's #Subedaar His appearance in

upalakbr999's tweet image. He impressed me as Faraaz Ayaaz Hossain in #Faraaz, shocked me in #Daldal, where he played a character battling drug addiction and now all eyes are on #AdityaRawal once more! He appears as the volatile and ruthless gangster Prince in #SureshTriveni's #Subedaar
His appearance in

Waah 👌 Ab ke bahaar ne bhi kii aisii sharaarat'eñ ki bas, Kabk-e-darii ki chaal meiñ teraa khiraam rakh diyaa #Shair #Faraaz #sharaarat


Bilkul ji Ai gham-e-duniyaa tujhe kyaa ilm tere vaaste, Kin bahaanoñ se tabiyat raah par laaii gaii #Shair #Faraaz #bahaana


Oho khoob … Ye kyaa ke tum hi Gham-e-hijr ke fasaane kaho, Kabhi to us ke bahaane sunaa karo us se #Faraaz #bahaana


Wahh ! Ye kyaa ki tum hi gham-e-hijr ke fasaane kaho, Kabhi to us ke bahaane sunaa karo us se ! #Shair #Faraaz #bahaana


Karuuñ na yaad magar kis tarah bhulaauun usey, Ghazal bahaana karuuñ aur gungunaauun usey #Shair #Faraaz #bahaana


Rabt ke saiñkdo'ñ hiile haiñ, muhobbat na sahi, Ham tere saath kisii aur bahaane lag jaaeñ ! #Shair #Faraaz #bahaana


Us ko judaa hue bhi zamaana bahut huaa, Ab kyaa kaheñ ye qissa puraana bahut huaa #Shair #Faraaz #zamaana


😄 "Faraaz" tuu ne usey mushkil'oñ meiñ daal diyaa, Zamaana saahab-e-zar aur sirf shaair tuu #Shair #Faraaz #zamaana


Ushshaaq ke maanind kaii ahl-e-havas bhi, Paagal to nazar aate haiñ, paagal nahiñ hote #Shair #Faraaz #aashiq


Zaraa si gard-e-havas dil pe laazmii hai "Faraaz", Vo ishq kyaa hai jo daaman ko paak chaahtaa hai #Shair #Faraaz #ishq


Ham aise saada-dil'oñ ko, vo dost ho ki Khuda, Sabhii ne vaada-e-fardaa pe taal rakkhaa hai #Shair #Faraaz #vaada


No results for "#faraaz"
Loading...

Something went wrong.


Something went wrong.